ye jiinā kyā ye marnā kyā kuchh bhī to hamāre bas meñ nahīñ
ik jaal bichhā hai ḳhvāhish kā aur dil hai ki phailā jaatā hai
ham bachne kī jitnī koshish karte haiñ phañste jaate haiñ
ye reg-e-ravān-e-umr hī kuchh aisī hai ki dhañste jaate haiñ
jab ret hamāre pairoñ ke nīche se khisakne lagtī hai
duniyā kī tamannā bujhtī huī āñkhoñ meñ sisakne lagtī hai
har saañs ukhaḌne se pahle siine meñ dahaktī jaatī hai
aur dhīre dhīre chādar jism-o-jāñ kī masaktī jaatī hai
ye jiinā kyā ye marnā kyā kuchh bhī to hamāre bas meñ nahīñ