safed aur siyāh goToñ ke hasīñ ik dā.ere andar
bahut hī surḳh rañgat kī hasīñ ik goT hotī hai
har ik khelne vaale kī bas ik hī tamannā hai
isī carrom ke konoñ meñ jo chhoTe chhoTe kamre haiñ
har ik yaañ khelne vaalā isī dhun meñ hai sargardāñ
isī kāvish meñ rahtā hai
udhar raanī kī sharteñ haiñ karegā jo bhī puurī ye
to raanī tab hī jā.egī
mujhe raanī kī shartoñ par baḌā hī pyaar aayā hai
khilāḌī to nahīñ raanī magar raanī to hai āḳhir
ka.ī tarah se dekho to
bahut haiñ zāviye us meñ
kabhī raanī ke hote bhī
shikast-e-fāsh hotī hai
kabhī raanī to miltī hai magar
tum haar jaate ho
kabhī aisā bhī hotā hai
koī raanī ko na pā kar