Shaukat Pardesi

yaad

Shaukat Pardesi

Malaysia

1924-1995
suhānī raat meñ dilkash nazāre yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
usī sūrat se din Dhaltā hai sūraj Duub jaatā hai
usī sūrat se shabnam meñ har ik zarra nahātā hai
usī andāz se mujh ko sahāre yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
akele maiñ tumhārī yaad se bach kar kahāñ jā.ūñ?
lab-e-ḳhāmosh kī fariyād se bach kar kahāñ jā.ūñ?
kināyoñ ko bhulātā huuñ ishāre yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
nigāhoñ meñ abhī tak hai usī din raat kā manzar
tumhāre saath meñ biite hue lamhāt kā manzar
tasavvur-āfrīñ vo shāh-pāre yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
mirī nazroñ se ojhal ab maqām-e-johd-e-hastī hai
na vo ehsās-e-ishrat hai, na vo anjum-parastī hai
mujhe biite hue lamhāt saare yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
tamannāoñ ke mele ab nahīñ lagte kabhī dil meñ
kashish baaqī rahī koī na rāhoñ meñ, na manzil meñ
tumhāre saath jitne din guzāre yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
gila is kā nahīñ kyuuñ tum ne mujh se apnā muñh moḌā
nahīñ qaabū thā apne dil pe paimān-e-vafā toḌā
ye kyuuñ paiham mujhe paimāñ tumhāre yaad aate haiñ
nahīñ ho tum magar vo chāñd taare yaad aate haiñ
Top Urdushayar.com