Shaukat Pardesi

uske nam

Shaukat Pardesi

Malaysia

1924-1995
vahī ġhunchoñ kī shādābī vahī phūloñ kī nik.hat hai
vahī sair-e-gulistāñ hai vahī josh-e-masarrat hai
vahī maḳhmūr rāteñ ab bhī tasvīr-e-taḳhayyul haiñ
vahī dil-chasp bāteñ ab bhī tasvīr-e-taḳhayyul haiñ
ghaTā.eñ ab bhī uThtī haiñ talātum ab bhī hotā hai
shagūfe ab bhī khilte haiñ tabassum ab bhī hotā hai
tumhārī yaad aise meñ satātī hai mujhe ab bhī
shab-e-tanhā.ī meñ pahroñ rulātī hai mujhe ab bhī
junūñ-sāmāñ nazāroñ ke taqāze ab bhī hote haiñ
tamannā ab bhī hotī hai irāde ab bhī hote haiñ
rahegā yuuñ laboñ par shikva-e-jaur-e-ḳhizāñ kab tak
satā.egā bhalā nāzuk diloñ ko ye jahāñ kab tak
mujhe din raat rahtī hai tumhārī justujū ab bhī
tasavvur meñ kiyā kartā huuñ tum se guftugū ab bhī
Top Urdushayar.com