mirī shā.erī hai nazāroñ kī duniyā
ye naġhma-sarā joibāroñ kī duniyā
mirī shā.erī chāñd tāroñ kī duniyā
ye rañgīñ gharauñdā tilism-e-zamāna
mirī shā.erī baḳht-yāroñ kī duniyā
falak shāmiyāna hai parbat qanāteñ
mirī shā.erī ḳhār-zāroñ kī duniyā
tahī-dastī o pastī o ḳhasta-hālī
mirī shā.erī shahsavāroñ kī duniyā
bahādur jarī sūrmā aur jiyāle
mirī shā.erī dil-figāroñ kī duniyā
ye fariyād-e-ḳhāmosh nīchī nigāheñ
mirī shā.erī be-qarāroñ kī duniyā
vo zarra ki rāh-e-sukūñ meñ muḳhil hai
mirī shā.erī ḳhāksāroñ kī duniyā
baserā ḳhas-o-ḳhār-o-ḳhāshāk par hai
mirī shā.erī bāda-ḳhvāroñ kī duniyā
chale jām-e-jam bhī jame bazm-e-mai bhī
mirī shā.erī dost-dāroñ kī duniyā
ye duniyā jahāñ se alag ik jahāñ hai
mirī shā.erī ġhamgusāroñ kī duniyā
falak mahr-parvar zamīñ mah-jabīñ hai
mirī shā.erī mere pyāroñ kī duniyā
vo pyāre ki sū-e-adam jā chuke haiñ
mirī shā.erī intizāroñ kī duniyā
kabhī maiñ bhī ho jā.ūñ āzād shāyad
mirī shā.erī hai ishāroñ kī duniyā
falak par haiñ gardish meñ chāñd aur taare