uf vo raavī kā kināra vo ghaTā chhā.ī huī
shaam ke dāman meñ sabze par bahār aa.ī huī
vo shafaq ke bādaloñ meñ nīl-gūñ surḳhī kā rañg
aur raavī kī talā.ī nuqra.ī lahroñ meñ jañg
shah-dare meñ aam ke peḌoñ pe koyal kī pukār
Dāliyoñ par sabz pattoñ surḳh phūloñ kā nikhār
vo gulābī aks meñ Duubī huī chashm-e-hubāb
aur nashe meñ mast vo sarmast maujoñ ke raubāb
vo havā ke sard jhoñke shoḳhiyāñ karte hue
bin pii.e bā-mast kar dene kā dam bharte hue
duur se zālim papīhe kī sadā aatī huī
pai-ba-pai kam-baḳht pī-pī kah kar uksātī huī
aur vo maiñ ThanDī ThanDī ret par baiThā huā
donoñ hāthoñ se kaleja thaam kar baiThā huā
shaiḳh-sāhib! sach to ye hai un dinoñ piitā thā maiñ
un dinoñ piitā thā ya.anī jin dinoñ jiitā thā meñ
ab vo aalam hī kahāñ hai mai piye muddat huī
ab maiñ tauba kyā karūñ tauba kiye muddat huī