(1)
garm-joshī
ab aag bagūle nācheñge
sab lañgḌe luule nācheñge
ab sustī jaal bichhā.egī
ab dhoñs na chalne pā.egī
ab piilī dhaat kī bīmārī
phailā na sakeñge biyopārī
ab ḳhuun ke sāgar kholeñge
insān ke jauhar kholeñge
har zulf se bichchhū lapkeñge
āñkhoñ se sharāre Tapkeñge
ab duudh na deñgī bhaiñseñ gaa.eñ
uf uf karne lageñgī maa.eñ
ab ḳhānqahoñ kī murda udāsī
roz-e-azal kī bhūkī pyāsī
zor-āvarī se kamzoroñ kī
ab jeb kaTegī choroñ kī
jiinā dil gurda DhūñDegā
har zinda ''murda'' DhūñDegā
(2)
sard-mehrī
aivān kareñge bhā.eñ bhā.eñ
phūñs kī jhoñpaḌiyoñ meñ havā.eñ
ab bijlī ke koḌoñ se havā
shamshīr-ba-kaf zanjīr-ba-pā
ab ThanDī aahoñ ke parnāle
paale aafat ke par kaale
taḳhrīb kī topeñ chhūTeñgī
ta.amīr kī kaliyāñ phūTeñgī
ab nāgin bāñbī garmā.egī
saañp kī laalī lahrā.egī
bhus ḳhālī peT meñ bhar na sakegā
koī tijārat kar na sakegā
ab daal na jāgīroñ kī galegī
aag magar din raat jalegī
ab gāḌhā pasīna bunñe vaale
oḌhe phireñge shaal do-shāle