Hafeez Jalandhari

takiya

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
imārat aur shaukat aur sarmā.e kī tasvīreñ
ye aivānāt sab haiñ haal hī kī taaza tāmīreñ
idhar kuchh fāsle par chand ghar the kāsht-kāroñ ke
jahāñ ab kār-ḳhāne ban ga.e sarmāya-dāroñ ke
maveshī ho ga.e nīlām kyuuñ ye koī kyā jaane
kachehrī jaane sāhūkār jaane yā ḳhudā jaane
zamīñ-dāroñ ko jā kar dekh le jo bhī koī chāhe
na.e bhaTToñ meñ īñTeñ thāpte phirte haiñ halvāhe
azīmushshān bastī hai ye nau-ābād vīrāna
yahāñ ham ajnabī donoñ haiñ maiñ aur merā kāshāna
Top Urdushayar.com