Akhtar Shirani

ai ishq kahin le chal

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
ai ishq kahīñ le chal is paap kī bastī se
nafrat-gah-e-ālam se la.anat-gah-e-hastī se
duur aur kahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ham prem pujārī haiñ to prem kanhiyyā hai
to prem kanhiyyā hai ye prem kī nayyā hai
kuchh fikr nahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
be-rahm zamāne ko ab chhoḌ rahe haiñ ham
bedard azīzoñ se muñh moḌ rahe haiñ ham
bas taab nahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ye jabr-kada āzād afkār kā dushman hai
armānoñ kā qātil hai ummīdoñ kā rahzan hai
chal yaañ se kahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
aapas meñ chhal aur dhoke sansār kī rīteñ haiñ
is paap kī nagrī meñ ujḌī huī parteñ haiñ
sukh chain nahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ik mazbah-e-jazbāt-o-afkār hai ye duniyā
ik maskan-e-ashrār-o-āzār hai ye duniyā
duur is se kahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ye dard bharī duniyā bastī hai gunāhoñ kī
dil-chāk umīdoñ kī saffāk nigāhoñ kī
haiñ ġham se hazīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ā.ankhoñ meñ samā.ī hai ik ḳhvāb-numā duniyā
tāroñ kī tarah raushan mahtāb-numā diyā
lillāh vahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
vo tiir ho sāgar kī rut chhā.ī ho phāgun kī
phūloñ se mahaktī ho purvā.ī ghane ban kī
jī bas meñ nahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
qudarat ho himāyat par hamdard ho qismat bhī
'salmā' bhī ho pahlū meñ 'salmā' kī mohabbat bhī
ai tifl-e-hasīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ai ishq hameñ le chal ik nuur kī vaadī meñ
ik ḳhvāb kī duniyā meñ ik tuur kī vaadī meñ
tā ḳhuld-e-barīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
sansār ke us paar ik is tarah kī bastī ho
jo sadiyoñ se insāñ kī sūrat ko tarastī ho
yuuñ ho to vahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
maġhrib kī havāoñ se āvāz sī aatī hai
aur ham ko samundar ke us paar bulātī hai
chal is ke qarīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ik aisī fazā jis tak ġham kī na rasā.ī ho
duniyā kī havā jis meñ sadiyoñ se na aa.ī ho
ai ishq vahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ek aisī jagah jis meñ insān na baste hoñ
ye makr o jafā-pesha haivān na baste hoñ
to ḳhauf nahīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
barsāt kī matvālī ghanghor ghaTāoñ meñ
kohsār ke dāman kī mastāna havāoñ meñ
ai zohra-jabīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
in chāñd sitāroñ ke bikhre hue shahroñ meñ
in nuur kī kirnoñ kī Thahrī huī nahroñ meñ
ai ḳhizr-e-hasīñ le chal!
ai ishq kahīñ le chal!
ik aisī bahisht aa.iiñ vaadī meñ pahuñch jaa.eñ
jis meñ kabhī duniyā ke ġham dil ko na taḌpā.eñ
Top Urdushayar.com