Akhtar Shirani

jahan rehana rahti thi

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī
vo is vaadī kī shahzādī thī aur shāhāna rahtī thī
inhī sahrāoñ meñ vo apne galle ko charātī thī
inhīñ chashmoñ pe vo har roz muñh dhone ko aatī thī
khajūroñ ke tale vo jo khañDar se jhilmilāte haiñ
ye sab 'rehāna' ke ma.asūm afsāne sunāte haiñ
mire hamdam ye naḳhlistān ik din us kā maskan thā
isī ke ḳharma.ī-e-āġhosh meñ us kā nasheman thā
ye phūloñ kī hasīñ ābādiyāñ kāshāna thiiñ us kā
vo ik but thī ye saarī vādiyāñ but-ḳhāna thiiñ us kā
tabāhī kī havā is ḳhāk-e-rañgīñ tak na aa.ī thī
ye vo ḳhitta thā jis meñ nau-bahāroñ kī ḳhudā.ī thī
isī vīrāna meñ ik din bahishteñ lahlahātī thiiñ
ghaTā.eñ ghir ke aatī thiiñ havā.eñ muskurātī thiiñ
ye vīrāna guzar jis meñ nahīñ hai kārvānoñ kā
jahāñ miltā nahīñ nām-o-nishāñ tak sārbānoñ kā
yahīñ ābād thī ik din mire afkār kī malka
mire jazbāt kī devī mire ash.ār kī malka
sabā shāḳhoñ meñ naḳhlistāñ kī jis dam sarsarātī hai
mujhe har lahr se 'rehāna' kī āvāz aatī hai
fazā.eñ gūñjtī haiñ ab bhī un vahshī tarānoñ se
suno āvāz sī aatī hai un ḳhākī chaTānoñ se
mire hamdam junūn-e-shauq kā iz.hār karne de
mujhe us dasht kī ik ik kalī se pyaar karne de
ba-rabb-e-kāba us kī yaad meñ umreñ gañvā dūñgā
maiñ us vaadī ke zarre zarre par sajde bichhā dūñgā
vo is Tiile par akasr āshiqāna giit gaatī thī
purāne sūrmāoñ ke fasāne gungunātī thī
khajūroñ ke hasīñ saa.e zamīñ par lahlahāte the
sitāre jagmagāte the shagūfe khilkhilāte the
yahīñ bastī thī ai hamdam mire rūmān kī bastī
mire afsānoñ kī duniyā mire vijdān kī bastī
shamīm-e-zulf se us kī mahak jaatī thī kul vaadī
nigāh-e-mast se us kī bahak jaatī thī kul vaadī
vo gesu-e-pareshāñ yā ghaTā.eñ raqs kartī thiiñ
fazā.eñ vajd kartī thiiñ havā.eñ raqs kartī thiiñ
gudāz-e-ishq se labrez thā qalb-e-hazīñ us kā
magar ā.īna-dār-e-sharm thā rū-e-hasīñ is kā
use phūloñ ne merī yaad meñ betāb dekhā hai
sitāroñ kī nazar ne raat bhar be-ḳhvāb dekhā hai
yahīñ ham-rañg-e-gul-hā-e-hasīñ rahtī thī 'rehāna'
misāl-hūr-e-firdaus-e-barīñ rahtī thī 'rehāna'
payām dard-e-dil 'aḳhtar' diye jaatā huuñ vaadī ko
salām-e-ruḳhsat-e-ġhamgīñ kiye jaatā huuñ vaadī ko
Top Urdushayar.com