Akhtar Shirani

gujraat ki raat

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
aaj qismat se nazar aa.ī hai barsāt kī raat
kyā bigaḌ jā.egā rah jaao yahīñ raat kī raat
un kī pā-bosī ko jaa.e to sabā kah denā
aaj tak yaad hai vo aap ke gujrāt kī raat
jis meñ salmā ke tasavvur ke haiñ taare raushan
merī āñkhoñ hai vo ālam-e-jazbāt kī raat
haa.e vo mast ghaTā haa.e vo salmā kī adā
aah vo rūd-e-chanāb aah vo gujrāt kī raat
mere siine meñ idhar zulf-e-muattar kā hujūm
aah vo zulf ki āvāra ḳharābāt kī raat
sat.h-e-doyā pe idhar nashshe meñ lahrā.ī huī
rañg laa.ī huī chhā.ī huī barsāt kī raat
uf vo soī huī khoī huī fitrat kī bahār
uf vo mahkī huī bahkī huī barsāt kī raat
phir vo armān ham-āġhoshī kā jazb-e-gustāḳh
aah vo raat vo salmā se mulāqāt kī raat
kyuuñ na un donoñ pe miTne kī ho hasrat aḳhtar
uf vo us raat kī baat aah vo us baat kī raat
Top Urdushayar.com