dāvat
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
mileñge hashr meñ mat kah ye baar baar mujhe
ho kaise hashr ke va.ade pe e'tibār mujhe
nashāt-e-umr ko ummīd par nisār na kar
visāl-e-sub.h-e-qayāmat kā intizār na kar
kise ḳhabar hai qayāmat meñ ham mileñ na mileñ
fazā-e-rauz-e-jannat meñ ham mileñ na mileñ
gañvā na sog meñ apne shabāb kī rāteñ
nazar na ā.eñgī phir māhtāb kī rāteñ
ḳhabar le jald ki umr-e-azīz faanī hai
sarā-e-dahr kī har chiiz ānī-jānī hai
kise ḳhabar ye ghaTā.eñ raheñ raheñ na raheñ
ye nik.hateñ ye havā.eñ raheñ raheñ na raheñ
sabāt-e-ahd zamāne meñ kisī ne paayā hai
zamāna rañg badalne ko rañg laayā hai
tire ḳhayāl ko dil meñ basā.e baiThe haiñ
ḳhudā.ī ho ki ḳhudā ho bhulā.e baiThe haiñ
ye fasl aur ye bahāreñ nazar na ā.eñgī phir
ye bādaloñ kī qatāreñ nazar na ā.eñgī phir
batā tū kyā ye nazāre ujaḌ na jā.eñge
ye naddiyāñ ye kināre ujaḌ na jā.eñge
ġhamoñ pe kī haiñ fidā shādmāniyāñ ham ne
ḳhudā ke naam pe taj diiñ javāniyāñ ham ne
fanā-nasīb haiñ ye sabza-zār ke manzar
ye kohsār dil-e-jūebār ke manzar
ḳhabar le jald ki bahkī huī bahār hai aaj
nashāt-e-ḳhuld se ma.amūr sabza-zār hai aaj
tū hukm de to sitāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ
falak se us ke nazāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ
tū sāmne ho to kaun-o-makāñ ko gum kar duuñ
ḳham-e-tarab meñ ḳham-e-āsmāñ ko gum kar duuñ