Zareef Dehlvi

holi

Zareef Dehlvi

dil meñ uThtī hai masarrat kī lahar holī meñ
mastiyāñ jhūmtī haiñ shām-o-sahar holī meñ
saare aalam kī fazā gūñjtī hai naġhmoñ se
kaif-o-mastī ke baraste haiñ guhar holī meñ
dushman aur dost sabhī malte haiñ aapas meñ gulāl
saare be-kār hue teġh-o-tabar holī meñ
mohtasib mast hai aur hazrat-e-vā.is sarshār
mai-kada ban gayā hai aish-nagar holī meñ
kis kī maḳhmūr nigāhoñ ne pilā.e sāġhar
mast-o-be-ḳhud hue sab ahl-e-nazar holī meñ
aaj cupid bhī liye hāthoñ meñ pichkārī hai
us se bach kar bhalā jāoge kidhar holī meñ
ḳhum ke ḳhum tū bhī lunḌhāne kī qasam khā le aaj
dekh zāhid kahīñ rakhiyo na kasar holī meñ
tū samajhtā hai ki hai tū hī nirālā zāhid
are aate haiñ yahāñ tere ḳhusar holī meñ
kapḌe lat-pat kiye kīchaḌ meñ chale aate haiñ
shaiḳh-sāhab ke pisar laḳht-e-jigar holī meñ
būḌhe būḌhe bhī khaḌe takte haiñ lakḌī Tiike
band haiñ rāste aur rāhguzar holī meñ
aur bastī nahīñ ye hind hai sun khol ke kaan
bach ke chalte haiñ yahāñ ḳhvāja ḳhizar holī meñ
mai-kada hai yahāñ sāmān-e-masarrat haiñ 'zarīf'
aa bhī jaao miyāñ be-ḳhauf-o-ḳhatar holī meñ
Top Urdushayar.com