Zareef Dehlvi

holi

Zareef Dehlvi

ajiib rañg se aa.ī bahār holī meñ
zamīn-e-hind banī lāla-zār holī meñ
bas ab to sar hai kaḌhā.ī meñ pān.cho ghī meñ haiñ
baḌe maze ke haiñ lail-o-nahār holī meñ
har ik hai be-ḳhud-o-sarshār mast-o-dīvāna
baġhair-e-duḳhtar-e-raz hai ḳhumār holī meñ
piye hue haiñ sabhī aaj to mai-e-holī
bahak rahā hai har ik bāda-ḳhvār holī meñ
kisī ko gāliyāñ diiñ aur kisī ko Thoñk diyā
ye chhoḌ rakkhe haiñ kaise bijār holī meñ
bashar kā zikr hī kyā mast dasht-o-sahrā haiñ
ḳhushī se jhūmte haiñ kohsār holī meñ
uchhalte kūdte haiñ nāchte haiñ pī pī kar
ḳhud apne chaak bane haiñ kumhār holī meñ
kahāñ ke sāġhar-o-mīnā kahāñ ke jām-o-subū
tum ok se piyo le ke udhār holī meñ
nasīm-e-mast ke sadqe sharāb ke qurbāñ
lagāte haiñ vo gale baar baar holī meñ
samajh lo apnā hī ghar is ġharīb-ḳhāne ko
balā se gar nahīñ milte kahār holī meñ
kahā jo marte haiñ tum par to hañs ke farmāyā
mareñ tumhāre adū duur paar holī meñ
'zarīf' dekho to kaisī machā.ī hai ūdham
phudak rahe haiñ ye kaise chamār holī meñ
Top Urdushayar.com