Jigar Moradabadi

qaht-e-bangal

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
bañgāl kī maiñ shām-o-sahar dekh rahā huuñ
har chand ki huuñ duur magar dekh rahā huuñ
iflās kī maarī huī maḳhlūq sar-e-rāh
be-gor-o-kafan ḳhāk-ba-sar dekh rahā huuñ
bachchoñ kā taḌapnā vo bilaknā vo sisaknā
māñ-bāp kī māyūs nazar dekh rahā huuñ
insān ke hote hue insān kā ye hashr
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahā huuñ
rahmat kā chamakne ko hai phir nayyar-e-tābāñ
hone ko hai is shab kī sahar dekh rahā huuñ
ḳhāmosh nigāhoñ meñ umañDte hue jazbāt
jazbāt meñ tūfān-e-sharar dekh rahā huuñ
bedārī-e-ehsās hai har samt numāyāñ
be-tābī-e-arbābe-e-nazar dekh rahā huuñ
anjām-e-sitam ab koī dekhe ki na dekhe
maiñ saaf un āñkhoñ se magar dekh rahā huuñ
sayyād ne luuTā thā anādil kā nasheman
sayyād kā jalte hue ghar dekh rahā huuñ
ik teġh kī jumbish sī nazar aatī hai mujh ko
ik haath pas-e-parda-e-dar dekh rahā huuñ
Top Urdushayar.com