shab-e-zafāf-e-abū-lahab thī magar ḳhudāyā vo kaisī shab thī
abū-lahab kī dulhan jab aa.ī to sar pe īñdhan gale meñ
ye dekhte hī hujūm biphrā bhaḌak uThe yuuñ ġhazab
ki shole ke jaise nañge badan pe jābir ke tāziyāne
abū-lahab ne ye rañg dekhā lagām thāmī lagā.ī
mahmez abū-lahab kī ḳhabar na aa.ī
abū-lahab kī ḳhabar jo aa.ī to sāl-hā-sāl kā zamāna
ġhubār ban kar bikhar chukā thā
abū-lahab ajnabī zamīnoñ ke laal o gauhar sameT kar
phir vatan ko lauTā hazār tarrār o tez āñkheñ purāne
tū vahī hai jis kī dulhan jab aa.ī to sar pe īñdhan
gale meñ sāñpoñ ke haar laa.ī
abū-lahab ek lamha ThiThkā lagām thāmī lagā.ī
mahmez abū-lahab kī ḳhabar na aa.ī