ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
ai kāhin-e-dānish-var o a.ālī-guhar o piir
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
kuchh ḳhvāb ki madfūn haiñ ajdād ke ḳhud-sāḳhta asmār ke nīche
kuchh ḳhvāb haiñ āzād magar baḌhte hue nuur se mar.ūb
ne hausla-e-ḳhūb hai ne himmat-e-nā-ḳhūb
kuchh ḳhvāb haiñ jo gardish-e-ālāt se jūyanda-e-tamkīn
hai jin ke liye bandagī-e-qāzī-e-hājāt se is dahr kī taz.īn
kuchh ḳhvāb haiñ parda-e-anvār magar un kī sahar gum
jis aag se uThtā hai mohabbat kā ḳhamīr us ke sharar gum
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
ye ḳhvāb mire ḳhvāb nahīñ haiñ ki mire ḳhvāb haiñ kuchh aur
ai ishq-e-azal-gīr o abad-tāb
mere bhī haiñ kuchh ḳhvāb!