Ghaus Khah makhah Hyderabadi

siyasi maslahat

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

1929-2
hai yahī dastūr duniyā aur yahī dekhā gayā
phuul se ḳhushbū nikalte hī use pheñkā gayā
bāġh-e-hindostān jin ke ḳhuun se sīñchā gayā
daar nā-qadrī pe bil-āḳhir unheñ khīñchā gayā
zindagī meñ mil ga.e kitnoñ ko sarkārī ḳhitāb
muft meñ in ko ḳharīdā muft meñ bechā gayā
marne vāloñ ko bhī har e.azāz parliament meñ
ehtimāman vārisoñ ke haath meñ sauñpā gayā
the raqam jin meñ jihād-o-jañg-e-āzādī ke baab
tāq-e-nisyāñ meñ unhī aurāq ko pheñkā gayā
hind kī tārīḳh kā baab daraḳhshāñ pūchhiye
kyuuñ siyāsī maslahat kī aag meñ jhoñkā gayā
mulk meñ firqa-parastoñ kī huā chal hī ga.ī
na kisī ne sarzanish kī na unheñ Tokā gayā
tañg-nazarī buġhz aur nafrat-bhare tirshūl ko
piiTh meñ insāniyat kī is tarah ghoñpā gayā
hazrat-e-'āzād' ko e.azāz bhārat-ratn kā
'ḳhvāh-maḳhvāh' un ke pate par Daak se bhejā gayā
Top Urdushayar.com