Ghaus Khah makhah Hyderabadi

baaten karo

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

1929-2
rāt-bhar iqrār kī bāteñ karo
sub.h-dam inkār kī bāteñ karo
uljhaneñ dil kī baḌhānī hoñ agar
gesū-e-ḳhamdār kī bāteñ karo
haiñ nigāheñ sair aur abrū kamāñ
yaar bā-hathiyār kī bāteñ karo
mah-vasho itne bure bhī ham nahīñ
aao ham se pyaar kī bāteñ karo
sirf pahlī hī ke din ai dosto
saaz aur jhankār kī bāteñ karo
dūsrī ko bach ga.e paise agar
kūcha-o-bāzār kī bāteñ karo
das talak chilllar agar baaqī rahe
chaa.e par aḳhbār kī bāteñ karo
biis aur ikkīs ko ahbāb se
charḳh-e-nā-hanjār kī bāteñ karo
qarz-e-hasana le ke tum untīs tak
ghar ke kārobār kī bāteñ karo
tiis ko bāteñ karo iktīs kī
yā dil-e-bīmār kī bāteñ karo
āḳhirī din ḳhuub ġhusse meñ raho
hujjat-o-takrār kī bāteñ karo
phir usī shab sub.h kī ummīd meñ
mīThī mīThī pyaar kī bāteñ karo
tum se ye kis ne kahā thā 'ḳhvāh-maḳhvāh'
is tarah be-kār kī bāteñ karo
Top Urdushayar.com