Ghaus Khah makhah Hyderabadi

siDhiyan

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

1929-2
chaḌhtī kahīñ kahīñ se utartī haiñ sīḌhiyāñ
jaane kahāñ kahāñ se guzartī haiñ sīḌhiyāñ
yādoñ ke jhilmilāte sitāre liye hue
maazī kī kahkashāñ se utartī haiñ sīḌhiyāñ
letī haiñ yuuñ safar meñ musāfir kā imtihāñ
hamvār rāstoñ pe ubhartī haiñ sīḌhiyāñ
kartī haiñ sar ġhurūr kā nīche utaar kar
pastī kā sar buland bhī kartī haiñ sīḌhiyāñ
tārīkiyoñ ko oḌh ke sotī haiñ rāt-bhar
sūraj kī raushnī meñ nikhartī haiñ sīḌhiyāñ
mimbar pe chaḌh ke baiThtī haiñ vā.izoñ ke saath
rindoñ se chheḌ-chhāḌ bhī kartī haiñ sīḌhiyāñ
jab koī haal pūchhne aa.e na muddatoñ
andar se TūT-phūT ke martī haiñ sīḌhiyāñ
yādoñ ke phūñk phūñk ke rakhne paḌe qadam
zaḳhmoñ se dil ke jab bhī sañvartī haiñ sīḌhiyāñ
letī haiñ baḌh ke sab ke qadam to lagā mujhe
tanhā.ī ke azaab se Dartī haiñ sīḌhiyāñ
yuuñ dil meñ terī baat utartī hai 'ḳhvāh-maḳhvāh'
gahre kueñ meñ jaise utartī haiñ sīḌhiyāñ
Top Urdushayar.com