lamhoñ meñ zindagī kā safar yuuñ guzar gayā
saa.e meñ jaise koī musāfir Thahar gayā
maḳhmūr thā nashe meñ ġham-e-rozgār ke
hosh aa gayā to umr kā paimāna bhar gayā
daulat bhī us ke haath na aa.ī tamām-umr
kuchh naam hī na apnā zamāne meñ kar gayā
sab us ke ḳhair-ḳhvāh bulandī pe rah ga.e
shohrat kī sīḌhiyoñ se vo nīche utar gayā
mauqa-parast āb-o-havā meñ na jī sakā
apnī anā kī qaid meñ jaañ se guzar gayā
maut us kī saarī mushkileñ āsān kar ga.ī
ik bojh zindagī kā thā sar se utar gayā
afsos kam huā magar hairat bahut huī
jab 'ḳhvāh-maḳhvāh' ain za.īfī meñ mar gayā