Abdul Mateen Niyaz

amn ka suraj

Abdul Mateen Niyaz

Barabanki, Uttar pradesh, India

1929
har roz maiñ ye kartā huuñ duā
ai mere ḳhudā ai mere ḳhudā
nafrat ke añdhere miT jaa.eñ
bas prem ujāle muskā.eñ
chhaT jaa.eñ ġhamoñ ke sab bādal
lahrā.e jo ḳhushiyoñ kā āñchal
kuchh fikr na ho kuchh jhuuT na ho
duniyā meñ kahīñ par luuT na ho
har shahr hamārā gulshan ho
hañstā huā har ik āñgan ho
har ghar meñ bachche dhuum kareñ
tasvīr-e-ḳhushī meñ rañg bhareñ
har aañkh meñ ho ulfat kī chamak
har jism meñ ho ulfat kī mahak
duniyā meñ kahīñ par jañg na ho
insāñ pe zamīñ ye tañg na ho
bas amn kā sūraj muskā.e
har samt ujālā phailā.e
Top Urdushayar.com