Abdul Mateen Niyaz

qahqahe

Abdul Mateen Niyaz

Barabanki, Uttar pradesh, India

1929
duniyā se kar ke pyaar lagā.eñge qahqahe
ġham par hazār baar lagā.eñge qahqahe
duniyā hañsnegī apnī himāqat pe jab kabhī
ham aur be-shumār lagā.eñge qahqahe
kuchh ġham nahīñ hai ham ko zamāne kā dosto
patjhaḌ ho yā bahār lagā.eñge qahqahe
ghar vaale is maraz se pareshān huuñ to kyā
be-vaj.h baar baar lagā.eñge qahqahe
dekheñge ham latīfoñ bhare ḳhvāb raat bhar
phir sub.h mil ke yaar lagā.eñge qahqahe
kuchh fikr paas fail kī ham ko nahīñ huzūr
huuñ imtihāñ hazār lagā.eñge qahqahe
do din kī zindagī meñ rahe kyoñ udaas dil
jab hoñge be-qarār lagā.eñge qahqahe
daddy lageñge rail kā engine hameñ 'niyāz'
sulgegā jab sigār lagā.eñge qahqahe
Top Urdushayar.com