Abdul Mateen Niyaz

chaT wala

Abdul Mateen Niyaz

Barabanki, Uttar pradesh, India

1929
pakvān kyā maze ke laatā hai chaaT vaalā
le kar baḌā sā thailā aatā hai chaaT vaalā
bamba.ī kī bhail-pūrī ujjain kī kachaurī
khā kar inheñ huī hai har ik zabāñ chaTorī
ragḌā masāla bachcho jis shaḳhs ne na khāyā
samjho ki zindagī kā us ne maza na paayā
Tikyāñ ye ālūoñ kī is par maze ke chhole
lazzat jo un kī paa.e gūñgā zabān khole
dekho dahī-baḌā to aatā hai muñh meñ paanī
aksar to naam un kā laatā hai muñh meñ paanī
yuuñ surḳh se tule haiñ ye papḌiyāñ samose
jo ik nazar bhī dekhe khāne kī baat soche
garmā-garam pakauḌe chaTnī phir imliyoñ kī
aalū baḌe maze ke mircheñ bhī tez tīkhī
khānā zarūr bachcho āḳhir meñ paanī puurī
is ko agar na khaao phir chaaT hai adhūrī
likhī 'niyāz' ne bhī ye nazm chaaT khā kar
tum bhī sunāo bachcho sab ko ye nazm gā kar
Top Urdushayar.com