om kā jhanDā fazāoñ meñ uḌātā aayā
use tahzīb kā sartāj banātā aayā
jis se har qaum kī taqdīr banā kartī hai
hameñ aḳhlāq kā vo dars sikhātā aayā
aatmā saaf huā kartī hai jin jazboñ se
mash.al-e-rāh unhī jazboñ ko banātā aayā
ham dayānand ko kahte haiñ payambar lekin
ḳhud ko vo qaum kā sevak hī batātā aayā
āriya-vart kā raushan-tarīñ mīnār thā vo
raushnī saare zamāne ko dikhātā aayā
qaum ko shuddhī kī ta.alīm kā unvāñ de kar
qaum ko ġhair ke panje se chhuḌātā aayā
bhā.ī-chāre se mohabbat se ravādārī se
qaum ko jiine kā andāz sikhātā aayā
apnī tahzīb jise log bhulā baiThe the
ved-mantar se vahī yaad dilātā aayā
shāstr aur ved ke mantar kā uchāran kar ke
ahd-e-māzī kā ik ā.īna dikhātā aayā
ghor añdhkār thā agyān kā jaarī har-sū
gyaan agyān ke antar ko miTātā aayā
kufr-o-bātil ke uḌe hāthoñ ke tote ai 'charḳh'
haq-parastī kā vo yuuñ Dañkā bajātā aayā