mujh meñ ai yaar mire koī kamālāt na dekh
ḳhvāb vo huuñ jo kabhī bhī na haqīqat meñ Dhalā
mujh meñ ai yaar mire koī kamālāt na dekh
maiñ to is dahr kā chhoTā sā bashar huuñ jis ne
jiinā marnā bhī faqat mulk kī ḳhātir chāhā
mere jazbāt-o-tasavvur meñ baḌī shiddat thī
aag par chalne kī qadmoñ ko baḌī chāhat thī
par kahāñ ho sakā jo dil ne mire chāhā thā
maiñ ne rasta vo chunā raas na jo aayā thā
ab ye aalam hai ki jiine ke liye jiitā huuñ
ek afsos o kasak dil meñ liye phirtā huuñ
maiñ vo gul huuñ jo mahaktā to hai āñgan meñ mire
jis kī ḳhushbū ne zamāne ko diyā kuchh bhī nahīñ