aaj qāsid ko idhar se jo guzarte dikhā
mujh ko aisā lagā jaise ki tirā ḳhat aayā
tū nahīñ phir bhī chalā kartī hai duniyā merī
ab to mahsūs nahīñ hotī kabhī terī kamī
jaane dahlīz pe utrā thā vo kis kā saaya
yuuñ lagā jaise ki apnā koī vāpas aayā
tū mujhe yaad na aa.e kabhī aisā na huā
phir bhī ro ro ke guzar hotā ho ye bhī na huā
jaane kyā soch ke in āñkhoñ meñ aañsū aa.e
aaj nāzuk se ka.ī lamhe mujhe yaad aayā
aaj qāsid ko idhar se jo guzarte dekhā
mujh ko aisā lagā jaise ki terā ḳhat aayā