aaj kā din bachchoñ kā din hai
bachchoñ kī ḳhushiyoñ kā din hai
raushan hoñ bachchoñ ke chehre
in par hoñ ḳhushiyoñ ke pahre
tan par kapḌe hoñ bhaḌkīle
paañv meñ juute huuñ chamkīle
nācho gaao jashn manāo
khelo kuudo mauj uḌaao
'ārifa' 'monī' 'arshī' 'sumbul'
lahko chahko misl-e-bulbul
'faiz' 'shahīr' o 'najmī' 'ġhāzī'
ḳhuub rahegī ātish-bāzī
aaj 'farāġh' un ko mat DāñTo
sab bachchoñ meñ toffē bāñTo