Unknown

aligarh

Unknown

aligarh hai yahāñ ai dost kyā paayā nahīñ jaatā
yahāñ vo kaun sā show hai jo dikhlāyā nahīñ jaatā
ye ilm-o-fan kā gahvāra hai tahzībī idāra hai
nazar meñ ye hamārī to siyāsat kā akhāḌā hai
har ik sho.abe meñ pāoge yahāñ tum pārTī-bāzī
yahāñ rahtī hai aapas meñ hamesha tarkī-o-tāzī
ḳhudā ke fazl se ahl-e-hunar haiñ ahl-e-fan sab haiñ
magar DeḌh iiñT kī masjid banāne meñ magan sab haiñ
yahāñ āsār baaqī haiñ abhī jagīr-dārī ke
muhāfiz paa.e jaate haiñ abhī sarmāya-dārī ke
ġhazab ke haiñ jo yahāñ ke inqilābī haiñ
yahāñ jo ishtirākī haiñ samajh lo bas kitābī haiñ
yahāñ maz.hab ke Thekedār bhī milte haiñ bahtere
yahāñ laTh-bāz-o-chāqū-mār bhī milte haiñ bahtere
aligarh ke kisī function meñ gar tashrīf le jaa.eñ
jo fiqre-bāziyāñ hoñgī na un se aap ghabrā.eñ
ḳhudā-na-ḳhvāsta ġhanDe lafañge aur na lachche haiñ
ye tālib-ilm collage ke sharīfoñ ke ye bachche haiñ
faqat qaumī rivāyat kā ye apnī paas rakhte haiñ
koī parvā na kiije ye faqat bakvās rakhte haiñ
har ik mahfil meñ hotī hai yahāñ hañgāma-ārā.ī
ki achchhe achchhe ilm-o-fan bante haiñ saudā.ī
yahāñ ahl-e-aligarh jo bhī sub.h-o-shām karte haiñ
baḌe laa.eq haiñ sir-sayyad kā ūñchā naam karte haiñ
yahāñ ki begameñ bhī ik nirālī shaan rakhtī haiñ
numūd-e-zāhiri kā har qadam par dhyān rakhtī haiñ
paḌhī-likkhī hoñ yā an-paḌh yahāñ donoñ barābar haiñ
jo mauzū-e-suḳhan suniye to kapḌe aur zevar haiñ
alāva is ke yā to naukaroñ par nauha-ḳhvānī hai
nahīñ to ġhībateñ haiñ shaiḳhiyāñ haiñ lan-tarānī hai
samājī mashġhaloñ meñ yā to haiñ shādī kī taqrībeñ
nahīñ to mahfil-e-mīlād vo majlis niyāz aur nazreñ
kahīñ hai ijtimā tablīġhiyoñ kā ek koThī meñ
to hai shī.oñ kī majlis aur raqā.im dūsre ghar meñ
zarā jo modern Thahrīñ vo haiñ filmoñ kī shaidā.ī
na.ī tasvīr jo aa.e to goyā in kī ban aa.e
Top Urdushayar.com