Arshad Mahmood Arshad

aurat

Arshad Mahmood Arshad

Sargodha, Punjab, Pakistan

1975
banāyā hai musavvir ne hasīñ shahkār aurat ko
alag pahchān detā hai kahānī-kār aurat ko
vo maañ ho bahan biivī yā ki beTī ho suno logo
har ik kirdār meñ rakkhā gayā ġham-ḳhvār aurat ko
yahī sach-much banā degī tire ghar ko hasīñ jannat
zarā tum pyaar se karnā kabhī sarshār aurat ko
phir ik din un kī qismat meñ likhī jaatī hai rusvā.ī
zamāne meñ samajhte haiñ jo kārobār aurat ko
usī kā ruup dhāre phir rahī haiñ kuchh chuḌeleñ bhī
maiñ aurat hī nahīñ kahtā kisī makkār aurat ko
salām un auratoñ par jo ki maa.eñ haiñ shahīdoñ kī
salāmī pesh kartā huuñ maiñ sau sau baar aurat ko
mujhe us vaqt 'arshad' kyoñ mirī maañ yaad aatī hai
kisī kuTiyā meñ dekhūñ jab kisī lāchār aurat ko
Top Urdushayar.com