Josh Malsiani

shahid-e-watan

Josh Malsiani

Malsiyan, Punjab, India

1884-1976
dekhiye in jiine vāloñ kā nishān-e-zindagī
dekhiye in marne vāloñ kā jahān-e-zindagī
dekhiye in pastiyoñ meñ āsmān-e-zindagī
dekhiye in ḳhaak ke zarroñ kī shān-e-zindagī
baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par

dekhiye rūh-e-vafā kyā kyā ubhartī hai yahāñ
dekhiye hubb-e-vatan dil meñ utartī hai yahāñ
dekhiye dil kī fazā kaisī nikhartī hai yahāñ
dekhiye rahmat ḳhudā kī tauf kartī hai yahāñ
baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par

is jagah be-rañgiyāñ bhī ālam-e-tasvīr haiñ
is jagah tārīkiyāñ bhī sham.a kī tanvīr haiñ
is jagah ḳhāmoshiyāñ bhī ik lab-e-taqrīr haiñ
is jagah rūposhiyāñ bhī dil kī dāman-gīr haiñ
baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par

uTh ga.e duniyā se lekin ek duniyā ho ga.e
bulbule paanī ke the TuuTe to dariyā ho ga.e
ye vo the zarrāt jo uḌ kar surayyā ho ga.e
ye vo the bīmār jo mar kar masīhā ho ga.e
baiThe dam-bhar shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par

dil ke ujḌe baaġh ko ābād hote dekhiye
ruuh kī afsurdagī ko shaad hote dekhiye
bandagī ko qaid se āzād hote dekhiye
par-shikasta said ko sayyād hote dekhiye
baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par

aa.iye us ḳhaak se kasb-e-fazīlat kījiye
aa.iye qurbān us par dil kī daulat kījiye
haañ zarā ruk jā.iye itnī na ujlat kījiye
is ziyārat-gāh-e-ālam kī ziyārat kījiye
baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par
Top Urdushayar.com