Safeer Kakorvi

tarana-e-qaumi

Safeer Kakorvi

marhabā ai ḳhāk-e-pāk-e-kishvar-e-hindostāñ
yādgār-e-ahd-e-māzī hai tū ai jān-e-jahāñ
kyuuñ na kahiye tujh ko ik sarchashma-e-āb-e-baqā
haiñ ye āsār-e-qadīma tere ganj-e-be-bahā
ab to lāzim hai ki hoñ bedār abnā-e-vatan
ho diloñ meñ jazba-e-millat-parastī josh-zan
jabki jaarī ho zabānoñ par ye kalma sub.h o shaam
naġhma-hā-e-sāz se baḌh kar hai jo mojaz nizām
diin o aa.iiñ haiñ judā sab ke magar ai ḳhāk-e-hind
god meñ tere raheñ shīr-o-shakar ai ḳhāk-e-hind
roz o shab qaumoñ ko hotī hai taraqqī yā zavāl
kar sakā lekin na tujh ko daur-e-gardūñ pā.emāl
iḳhtilāf-e-dīn-o-millat ke ye jhagḌe hoñ tamām
jo musībat ban ga.e haiñ aaj bahr-e-ḳhās-o-ām
Top Urdushayar.com