Meem Hasan Lateefi

imroz

Meem Hasan Lateefi

Ludhiana, Punjab, India

1905-1959
gila hai kam-nigahī ko meñ kāmgār nahīñ
hanūz nudrat-e-kirdār āshkār nahīñ
mirā vo soz hai nā-mahramoñ meñ be-ta.abīr
mah-o-sitāra ko jis ke liye qarār nahīñ
mirā sukūt javāb aa.ina hai un ke liye
vo jin kī raa.e meñ dīvāna honhār nahīñ
nahīñ hai koī daraḳhshanda barq jis kī misāl
mushābah jis ke koī guhar-e-ābdār nahīñ
sazā-e-ḳhvesh hai ḳhud sat.h-e-chashm-e-zāhir meñ
jise ma.ānī-e-shā.ir pe e'tibār nahīñ
sabab haiñ aur bhī lekin ba-juz do-harf javāb
adā-e-zail se maqsūd zīnhār nahīñ
tumhīñ kaho hai mirā kaun sā karam-farmā
ki jis kī ḳhātir-e-bargashta meñ ġhubār nahīñ
ho shād-kāmī-e-gul-gasht-e-zarf shā.ir kyā
musāf-e-shahr charāgah-o-chashma-sāz nahīñ
shaguft-e-taba ke sāmān-o-sāz haiñ nāpaid
sabā nahīñ chamanistāñ nahīñ bahār nahīñ
mashām-e-naġhma hai āzurda chahchahe ḳhāmosh
navā-e-ġhuncha nahīñ nik.hat-e-hazār nahīñ
nahīñ bat-e-mai-e-sāqī na barbat-e-mutrib
bisāt-e-gul nahīñ āġhosh-e-gul-ezār nahīñ
muhīt-e-ġhurbat-e-bālīñ hai ḳhānumāñ-sozī
koī habīb nahīñ koī ġham-gusār nahīñ
mire kamāl kī zāmin hai ḳhud ye qismat-e-ġham
ḳhushā maiñ ḳhasta-e-ġham to huuñ sogvār nahīñ
Top Urdushayar.com