ufuq tā ufuq nīlgūñ āsmāñ
musāfir parindoñ kī manzil kahāñ
ki shāyad bahut duur aage ko
us bahr ke māvarā
ufuq tā ufuq nīlgūñ āsmāñ
koī shāḳh-e-gul hai na koī muñDer
na vahshī havāoñ kā tūfāñ rukā
sitāre ba-dastūr nīlāhaToñ meñ chamakte rahe
bahut duur pīchhe ko us bahr ke māvarā
har na.ī dil-kushā agnī munjamid
bahut duur aage ko us bahr ke māvarā
vo ik raushnī kā jahāñ