azal bhūlā-bisrā sā ik ḳhvāb hī
sahī
dhamāke se pahle kī ik sansanī
banī imtihāñ-gāh meñ
sitāroñ kī taqdīm ko kis ne dekhā hai
lazzat-kash intizār
abhī āb-o-gil meñ guñdhī
aur abhī parda-e-ġhaib se jhāñktī yād-dāsht
natīje kī fihrist se naam kitne
ki bajtā thā Dañkā kabhī jin kā
qalam ke navishte se panpā huā ḳhvāb-zār
vahīñ tak hai sarsabz
qalam ko bachā
harf-e-haq kī sazā