Shafiq Fatima Shera

yaad nagar

Shafiq Fatima Shera

Nagpur, Maharashtra, India

1930
maiñ os ban ke baras jā.ūñ tere sabze par
maiñ giit ban ke tirī vādiyoñ meñ kho jā.ūñ
shagufta ghaas meñ ye zard zard nanhe phuul
na jaane kis liye pagDanDiyoñ ko takte haiñ
ka.ī gharānoñ kī fariyād is meñ Duub ga.ī
ab is kuñ.eñ pe na aa.egī koī panhārī
maiñ tere paañv paḌūñ haath rok le qātil
use na maar jo terī taraf humaktā hai
kahā kisī ne ki vo jald lauT ā.eñge
kahā kisī ne ki ummīd ab bahut kam hai
nibolī niim kī pakkī ab aa.egā sāvan
magar ye giit use aah kaise yaad aayā
sunā hai niiñd meñ vo chauñk chauñk paḌte haiñ
lahū ke daaġh the jin par vo haath jalte haiñ
ilāhī shaam ab is gaañv meñ na aane paa.e
ki is ke aate hī dukhiyā.eñ mil ke rotī haiñ
diye ke vāste nanhe panāh-gīr na ro
falak pe dekh vo qindīl-e-māh raushan hai
tilā.ī ghaas se vaadī meñ thā talātum sā
havā meñ narm shuāoñ kī sarsarāhaT thī
havā ne diip bujhāyā hī thā ki niklā chāñd
qalam ko tez chalāo ki ye bhī Duub na jaa.e
ye chāñdnī kā ujālā ye nīm-shab kā sukūñ
safed gumbad-o-dar duudh meñ nahā.e hue
Top Urdushayar.com