vo ek daraḳht
khaḌā hī rahtā thā
kitnī baar badle mausam
kitnī koñpleñ phūTī
khaḌā rahā vo phir bhī
ghoñsle bante rahe
anDe kuchh phūTe kuchh sāñpoñ ne Das liye
khaḌā rahā vo phir bhī
bañdhtā rahā mannat ke laal dhāgoñ se
dabtā rahā mūrtiyoñ ke bojh se
parsoñ maiñ jab gayā us ke paas kuchh rāhat kī aas liye
to dekhā us ko rote hue maiñ ne
ab kaun samjhā.e use
ki khaḌe rahnā us kā svbhāv nahīñ niiti hai us kī