Ali Sardar Jafri

aazadi

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
pūchhtā hai to ki kab aur kis tarah aatī huuñ maiñ
god meñ nākāmiyoñ ke parvarish paatī huuñ maiñ
sirf vo maḳhsūs siine haiñ mirī ārām-gāh
aarzū kī tarah rah jaatī hai jin meñ ghuT ke aah
ahl-e-ġham ke saath un kā dard-o-ġham sahtī huuñ maiñ
kāñpte hoñToñ pe ban kar bad-duā rahtī huuñ maiñ
raqs kartī haiñ ishāroñ par mire maut-o-hayāt
dekhtī rahtī huuñ maiñ har-vaqt nabz-e-kā.enāt
ḳhud-farebī baḌh ke jab bantī hai ehsās-e-shu.ūr
jab javāñ hotā hai ahl-e-zar ke tevar meñ ġhurūr
muflisī se karte haiñ jab ādamiyat ko judā
jab lahū piite haiñ tahzīb-o-tamaddun ke ḳhudā
bhuut ban kar nāchtā hai sar pe jab qaumī vaqār
le ke maz.hab kī sipar aatā hai jab sarmāya-dār
rāste jab band hote haiñ duāoñ ke liye
aadmī laḌtā hai jab jhūTe ḳhudāoñ ke liye
zindagī insāñ kī kar detā hai jab insāñ harām
jab use qānūn-e-fitrat kā atā hotā hai naam
ahrman phirtā hai jab apnā dahan khole hue
āsmāñ se maut jab aatī hai par tole hue
jab kisānoñ kī nigāhoñ se Tapaktā hai hirās
phūTne lagtī hai jab mazdūr ke zaḳhmoñ se yaas
sabr-e-ayyūbī kā jab labrez hotā hai subū
soz-e-ġham se khaultā hai jab ġhulāmoñ kā lahu
ġhāsiboñ se baḌh ke jab kartā hai haq apnā savāl
jab nazar aatā hai mazlūmoñ ke chehroñ par jalāl
tafraqa paḌtā hai jab duniyā meñ nasl-o-rañg kā
le ke maiñ aatī huuñ parcham inqilāb-o-jañg kā
haañ magar jab TuuT jaatī hai havādis kī kamand
jab kuchal detā hai har shai ko baġhāvat kā samand
jab nigal letā hai tūfāñ baḌh ke kashtī nuuh kī
ghuT ke jab insān meñ rah jaatī hai azmat ruuh kī
duur ho jaatī hai jab mazdūroñ ke dil kī jalan
jab tabassum ban ke hoñToñ par simaTtī hai thakan
jab ubhartā hai ufuq se zindagī kā āftāb
jab nikhartā hai lahū kī aag meñ tap kar shabāb
nasl qaumiyyat kalīsā saltanat tahzīb-o-rañg
rauñd chuktī hai jab in sab ko javānī kī umañg
sub.h ke zarrīñ tabassum meñ ayaañ hotī huuñ maiñ
rif.at-e-arsh-e-barīñ se par-fishāñ hotī huuñ maiñ
Top Urdushayar.com