shafaq ke rañg meñ hai qatl-e-āftāb kā rañg
ufuq ke dil meñ hai ḳhanjar lahū-luhān hai shaam
yaqīñ kā zikr hī kyā hai ki ab gumāñ bhī nahīñ
maqām-e-dard nahīñ manzil-e-fuġhāñ bhī nahīñ
magar ye jañg nahīñ vo jo ḳhatm ho jaa.e
ik intihā hai faqat husn-e-ibtidā ke liye
vo pahnā sham.a ne phir ḳhūn-e-āftāb kā taaj
sitāre le ke uThe nūr-e-āftāb ke jaam
hazār lab se zamīñ kah rahī hai qissa-e-dard
hazār gosh-e-junūñ sun rahe haiñ afsāna
chaTak rahī haiñ kahīñ tīrgī kī dīvāreñ
lachak rahī haiñ kahīñ shāḳh-e-gul kī talvāreñ
javān ḳhvāboñ ke jañgal se aa rahī hai nasīm
nafas meñ nik.hat-e-paiġhām-e-inqalāb liye