Ali Sardar Jafri

bambai

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
sabz-o-shādāb sāhil
ret ke aur paanī ke giit
rāteñ āñkhoñ meñ jaadū kā kājal lagā.e hue
shāmeñ niilī havā kī namī meñ nahā.ī huī
vo chaTānoñ pe rakkhe hue ūñche ūñche mahl
chiknī dīvāroñ par
jagmagāte hue qumqume, park, bāġhāt aur museum
sañg-e-marmar ke but, dhaat ke aadmī
''chāleñ'' iflās kī gard, tārīkiyāñ
gandagī aur ufūnat
chimniyāñ bhutniyoñ kī tarah baal khole hue
kār-ḳhāne garajte hue
ye hai hindostāñ kī urūsul-bilād
sar-zamīn-e-dakan kī dulhan bamba.ī
ye mirā shahr hai
go mirā jism is ḳhāk-dāñ se nahīñ
bamba.ī
tere siine meñ sarmā.e kā zahr bhī
Top Urdushayar.com