Ali Sardar Jafri

tumhaara shahr

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
tumhārā shahr tumhāre badan kī ḳhushbū se
mahak rahā thaa, har ik baam tum se raushan thā
tumhārā naam tasavvur bhī thaa, taḳhayyul bhī
yaqīñ bhii, shauq bhii, ummīd bhii, tamannā bhī
magar ye kyā hai ki har kūcha aaj vīrāñ hai
galī galī meñ haiñ faulād-pā siyah ifrīt
tumhārā shahr, tumhāre badan kī ḳhushbū ko
taras rahā hai, har ik baam tīra-e-sāmāñ hai
ḳhabar nahīñ ki yahāñ se kidhar ko jaanā hai

vo ik julūs sā ik moḌ par nazar aayā
koī aziim janāza guzarne vaalā hai
magar janāza kahīñ bhī nazar nahīñ aatā
kafan-farosh bhī haiñ, gorkan bhī haiñ lekin
chalo qarīb se dekheñ ye bad-nasīb haiñ kaun
clerk haiñ jo abhī daftaroñ se nikle haiñ
julūs-e-ġham hai janāza ba-dosh chaltā hai
magar janāza kidhar hai nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com