Allama Iqbal

kya ishq ek zindagi-e-mustaar ka

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
kyā ishq ek zindagī-e-musta.ār kā
kyā ishq pā.edār se nā-pā.edār kā
vo ishq jis kī sham.a bujhā de ajal kī phūñk
us meñ maza nahīñ tapish o intizār kā
merī bisāt kyā hai tab-o-tāb-e-yak-nafas
sho.ala se be-mahal hai ulajhnā sharār kā
kar pahle mujh ko zindagī-e-jāvedāñ atā
phir zauq o shauq dekh dil-e-be-qarār kā
kāñTā vo de ki jis kī khaTak lā-zavāl ho
yā-rab vo dard jis kī kasak lā-zavāl ho
Top Urdushayar.com