vajūd-e-zan se hai tasvīr-e-kā.enāt meñ rañg
usī ke saaz se hai zindagī kā soz-e-darūñ
sharaf meñ baḌh ke surayyā se musht-e-ḳhāk us kī
ki har sharaf hai isī darj kā dur-e-maknūñ
mukālamāt-e-falātūñ na likh sakī lekin
usī ke sho.ale se TuuTā sharār-e-aflātūñ