Allama Iqbal

nala-e-firaq

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
jā basā maġhrib meñ āḳhir ai makāñ terā makīñ
aah! mashriq kī pasand aa.ī na us ko sarzamīñ
kushta-e-uzlat huuñ ābādī meñ ghabrātā huuñ maiñ
shahr se saudā kī shiddat meñ nikal jaatā huuñ maiñ
zarra mere dil kā ḳhurshīd-āshnā hone ko thā
aa.ina TuuTā huā ālam-numā hone ko thā
tū kahāñ hai ai kalīm-e-zarra-e-sīnā-e-ilm!
thī tirī mauj-e-nafas bād-e-nashāt-afzā-e-ilm
khol degā dasht-e-vahshat uqda-e-tadīr ko
toḌ kar pahuñchūñgā maiñ punjab kī zanjīr ko
Top Urdushayar.com