Raj Narayan Raaz

azab

Raj Narayan Raaz

Balochistan, Pakistan

1930-1998
mujhe shak kī nazroñ se kyuuñ dekhte ho
mirī baat sach hai
kanhaiyā nahīñ maiñ jo nāgoñ ko nath luuñ
maiñ aisā baḌā koī insān kab huuñ
lipaTte haiñ rātoñ ko is tarah mujh se
amarbel peḌoñ kī shāḳhoñ se jaise
maiñ un se nikal bhāgnā chāhtā huuñ
mirā jism zindāñ hai bebas huuñ is meñ
mirī baat sach hai
mirī baat sach hai nahīñ hai kisī jañg kā ye fasāna
nigaltā hai jab bhī añdhere kā ajgar
makīnoñ makānoñ ko dīvār-o-dar ko
sadāoñ kā jañgal navāoñ kī nagrī
vo aise meñ aate haiñ jaane kahāñ se
jo haiñ silvaTeñ mere bistar meñ sad.hā
vo sāñpoñ ke andāz meñ reñgtī haiñ
mirī sej sāñpoñ kā maskan banī hai
Top Urdushayar.com