nuqūsh-e-hasrat miTā ke uThnā, ḳhushī kā parcham uḌā ke uThnā
milā ke sar baiThnā mubārak tarāna-e-fat.h gā ke uThnā
ye guftugū guftugū nahīñ hai bigaḌne banñe kā marhala hai
dhaḌak rahā hai fazā kā siina ki zindagī kā muāmla hai
sajā leñ sab apnī apnī jannat ab aise ḳhāke banā ke uThnā
ḳhazāna-e-rañg-o-nūr tārīk rahguzāroñ meñ luT rahā hai
urūs-e-gul kā ġhurūr-e-ismat siyāhkāroñ meñ luT rahā hai
is intishār-e-chaman kī saugand bāb-e-zindāñ hilā ke uThnā
hayāt-e-gītī kī aaj badlī huī nigāheñ haiñ inqilābī
ufuq se kirneñ utar rahī haiñ bikhertī nūr-e-kāmyābī
gale kā tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilmilā ke uThnā