Kaifi Azmi

andeshe

Kaifi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1919-2002
ruuh bechain hai ik dil kī aziyyat kyā hai
dil hī sho.ala hai to ye soz-e-mohabbat kyā hai
vo kahāñ aur kahāñ kāhish-e-ġham, sozish-e-jāñ
us kī rañgīn nazar aur nuqūsh-e-hirmāñ
jhuk ga.ī hogī javāñ-sāl umañgoñ kī jabīñ
miT ga.ī hogī lalak, Duub gayā hogā yaqīñ
dil ne aise bhī kuchh afsāne sunā.e hoñge
ashk āñkhoñ ne piye aur na bahā.e hoñge
us ne ghabrā ke nazar laakh bachā.ī hogī
miT ke ik naqsh ne sau shakl dikhā.ī hogī
be-mahal chheḌ pe jazbāt ubal aa.e hoñge
ġham pashemān-e-tabassum meñ Dhal aa.e hoñge
zulf zid kar ke kisī ne jo haTā.ī hogī
rūThe jalvoñ pe ḳhizāñ aur bhī chhā.ī hogī
Top Urdushayar.com