ai hama-rañg hama-nūr hama-soz-o-gudāz
bazm-e-mahtāb se aane kī zarūrat kyā thī
ye ḳhad-o-ḳhāl ye ḳhvāboñ se tarāshā huā jism
aur dil jis pe ḳhad-o-ḳhāl kī narmī bhī nisār
tishnagī zahr bhī pī jaatī hai amrit kī tarah
jaane kis jaam pe ruk jaa.e nigāh-e-ma.asūm
haiñ sabhī husn-parast ahl-e-nazar sāhib-e-dil
koī ghar meñ koī mahfil meñ sajā.egā tujhe
tujh se ik dard kā rishta bhī hai bas pyaar nahīñ
apne āñchal pe mujhe ashk bahā lene de