tum pareshān na ho, bāb-e-karam vā na karo
aur kuchh der pukārūñgā chalā jā.ūñgā
rāsta bhuul gayā, yā yahī manzil hai mirī
koī laayā hai ki ḳhud aayā huuñ ma.alūm nahīñ
yuuñ to jo kuchh thā mire paas maiñ sab bech aayā
kahīñ in.aam milā, aur kahīñ qīmat bhī nahīñ
ek to itnī hasīñ dūsre ye ārā.ish
jo nazar paḌtī hai chehre pe Thahar jaatī hai
garm bosoñ se tarāshā huā nāzuk paikar
jis kī ik aañch se har ruuh pighal jaatī hai
kyā kamī hai jo karogī mirā nazrāna qubūl
chāhne vaale bahut, chaah ke afsāne bahut
phir bhī ik raat meñ sau tarah ke moḌ aate haiñ
kaash tum ko kabhī tanhā.ī kā ehsās na ho
aaj kī raat jo merī hī tarah tanhā hai
maiñ kisī tarah guzārūñgā chalā jā.ūñgā