Kaifi Azmi

uljhanen

Kaifi Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1919-2002
zabāñ ko tarjumān-e-ġham banā.ūñ kis tarah 'kaifī'
maiñ barg-e-gul se añgāre uThā.ūñ kis tarah 'kaifī'
samajh meñ kis kī aa.e raaz mere hichkichāne kā
añdhere meñ chalā kartā hai har nāvak zamāne kā
hañsī bhī merī nauha hai mirā naġhma bhī mātam hai
junūñ bhī mujh se barham hai ḳhirad bhī mujh se barham hai
ye tauq-e-bandagī vo phuul sī gardan ma.āz-allāh
vo shahd-ālūd lab aur talḳhī-e-shevan ma.āz-allāh
naved-e-sub.h suntā hī nahīñ rañgīn ḳhvāb us kā
ghirā jaatā hai zulmat-rez kirnoñ meñ shabāb us kā
fanā meñ huzn-dīda zindagī zam hotī jaatī hai
thakī nabzoñ kī ḳhasta zarb maddham hotī jaatī hai
nirālī jast karnā hai na.e raste pe chalnā hai
na.e sho.aloñ meñ tapnā hai na.e sāñche meñ Dhalnā hai
pareshāñ qāfile ne ab nishāñ manzil kā paayā hai
dhuñdlakoñ ke udhar ik surḳh taarā jhilmilāyā hai
Top Urdushayar.com